KHalid Malik Sahil

lutf duniya to faqat dida-e-namnak mein hai

KHalid Malik Sahil

Karachi, Sindh, Pakistan

1961
lutf duniyā to faqat dīda-e-namnāk meñ hai
shaiḳh sāhab kī nazar aaj bhī aflāk meñ hai
jis ne ta.amīr kiyā mujh ko lahū hāthoñ se
ḳhaak ho jā.ūñ ki vo shaḳhs bhī ab ḳhaak meñ hai
mujh ko majbūr kiyā hai mirī majbūrī ne
aaj bhī merī anā kāġhzī poshāk meñ hai
maiñ jo bīmār huā us ne ayādat kī hai
ḳhū-e-rahmat bhī usī qātil-e-saffāk meñ hai
ai dil-e-hijr-zada mujh ko na rusvā karnā
sharm thoḌī sī abhī lahja-e-bebāk meñ hai
merī rusvā.ī meñ shāmil nahīñ mere chehre
hākim-e-shahr magar aaj bhī is taak meñ hai
shahr-e-be-mehr meñ zinda thā faqat maiñ 'sāhil'
mere ehsās kā qātil mirī poshāk meñ hai
Top Urdushayar.com