saeed Qais

aarzu-e-visal-e-yar karen

saeed Qais

Pakistan

-2018

ārzū-e-visāl-e-yār kareñ

kis ke aane intizār kareñ

dard ke kis maqām se guzreñ

apnā dariyā kahāñ se paar kareñ

kis se kis moḌ par bichhaḌ jaa.eñ

kaun hijr iḳhtiyār kareñ

ye jo ik zaḳhm-e-jāñ pas-e-jāñ hai

kis ke siine ke ār-pār kareñ

fursat-e-shauq umr-e-āvāra

aa tujhe aaj sharmsār kareñ

dil ūñchī machān par baiTheñ

aur koī aarzū shikār kareñ

mas.ala ye hai kis havāle se

koī ḳhvāhish sipurd-e-yār kareñ

kaash tum roz mukar jaao

kaash ham roz intizār kareñ

chāñd chhat par zarūr aa.egā

merī āñkhoñ e'tibār kareñ

ek mushkil aa paḌī hai 'qais'

terī āñkhoñ pe kyā nisār kareñ

Top Urdushayar.com