Khurshid Rabbani

aks-e-gul hun ki naqsh-e-hairat hun

Khurshid Rabbani

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1973
aks-e-gul huuñ ki naqsh-e-hairat huuñ
aa.ine maiñ tirī zarūrat huuñ
gūñjtā huuñ diloñ ke gumbad meñ
ek āvāza-e-mohabbat huuñ
nā-rasā.ī mirā muqaddar hai
zer-e-lab ik bayān-e-hasrat huuñ
dil-e-āsūda hai vatan merā
maiñ tamannā-e-dasht-e-ġhurbat huuñ
maiñ huuñ ik paikar-e-ḳhayāl-o-ḳhvāb
aur kitnī baḌī haqīqat huuñ
garche maiñ harf-e-ḳhāk huuñ 'ḳhurshīd'
phir bhī zeb--ekitāb-e-fitrat huuñ
Top Urdushayar.com