tanhā.ī  kī  qabr  se  uTh  kar  maiñ  saḌkoñ  par  kho  jaatā  huuñ
chehroñ  ke  gahre  sāgar  meñ  murda  āñkheñ  pheñk  aatā  huuñ
maiñ  koī  bargad  to  nahīñ  huuñ  sadiyoñ  Thahrūñ  is  dhartī  par
dhund  meñ  lipTe  ḳhvāboñ  kā  qad  lamha  lamha  naap  rahā  huuñ
vo  to  jhuuT  kī  chādar  oḌhe  phailā  sāgar  phāñd  chukā  hai
maiñ  hī  sach  kī  maalā  japte  is  dhartī  meñ  Duub  rahā  huuñ
paanī  kī  maujoñ  pe  likkhī  hai  lamhoñ  kī  be-rūh  kahānī
kyā  paayā  hai  kyā  khoyā  hai  maiñ  sadiyoñ  se  khoj  rahā  huuñ
'āzmī'  apnī  ye  duniyā  ho  jaise  koī  bhūl-bhulayyāñ
dhund  meñ  lipTe  ḳhvāboñ  hī  se  āñkh-mīcholī  khel  rahā  huuñ