kitnī  hasīn  lagtī  hai  chehroñ  kī  ye  kitāb
satroñ  ke  biich  dekhiye  phailā  huā  azaab
chīḳhoñ  kā  karb  naġhmoñ  ke  sho.ale  varaq  varaq
ehsās  ban  rahā  hai  javāñ  dard  kī  kitāb
mīzān-e-dil  meñ  tauliye  phūloñ  se  har  umiid
lamhoñ  meñ  ghul  rahā  hai  tamannāoñ  kā  shabāb
chehroñ  pe  aaj  kitne  naqāboñ  kā  bojh  hai
zaḳhmī  hai  ā.īnoñ  ke  samundar  meñ  har  hijāb
ye  zindagī  hai  sāyoñ  kā  bikhrā  huā  kafan
dasht-e-safar  hai  ḳhvāb  kā  phailā  huā  sarāb