kyā  ḳhabar  thī  ki  tire  saath  ye  duniyā  hogī
merī  jānib  mirī  taqdīr  hī  tanhā  hogī
aarzū  kī  ye  sazā  hai  ki  zamāna  hai  ḳhilāf
un  se  milne  kī  ḳhudā  jaane  sazā  kyā  hogī
marmarīñ  jism  kā  charchā  lab-o-ruḳhsār  kī  baat
merī  koī  to  ġhazal  un  kā  sarāpā  hogī
ashk-e-ġham  piine  meñ  taklīf  to  hotī  hai  magar
sochtā  huuñ  ki  mohabbat  tirī  rusvā  hogī
nāma-bar  bhī  hai  taraf-dār  ab  un  kā  'anjum'
mere  hālāt  kī  ab  un  ko  ḳhabar  kyā  hogī