jis  ghaḌī  rāh-e-pur-ḳhār  maiñ  ne  chunī  saath  us  ne  bhī  azm-e-safar  kar  liyā
sub.h  sūraj  nikalne  se  pahle  chale,  jis  jagah  ho  ga.ī  raat  ghar  kar  liyā
dam-ba-dam  ek  dīvār  uThtī  ga.ī  ik  chhurī  merā  siina  khurachtī  ga.ī
jaise  jaise  ghuTan  shahar  kī  baḌh  chalī  maiñ  ne  dil  meñ  nayā  ek  dar  kar  liyā
ik  sadā  mere  kānoñ  meñ  aatī  rahī  ik  balā  naam  le  kar  bulātī  rahī
muḌ  ke  dekhā  na  maiñ  ne  kabhī  kabhī  maiñ  jau  jo  safar  kiyā  be-ḳhatar  kar  liyā
zindagī  apnī  guzrī  hai  dukh  bāñTte,  baaḌh  kāñToñ  kī  har  har  qadam  chhāñTte
hijr  kī  fasl  palkoñ  tale  kāTte  jo  bhī  koh-e-girāñ  thā  vo  sar  kar  liyā
un  ke  aane  kī  phailī  ḳhabar  chār-sū  ā.īne  mah  jabīnoñ  ke  haiñ  rū-ba-rū
maiñ  ne  bhī  un  ke  chehre  pe  Daalī  nazar  raushnī  ko  asīr-e-nazar  kar  liyā
log  aate  haiñ  merā  pata  pūchhte  mere  sheroñ  ko  paḌh  kar  tujhe  DhūñDte
tujh  pe  mere  suḳhan  kā  na  jaadū  chalā  maiñ  ne  duniyā  duniyā  ko  asar  kar  liyā
hāsidoñ  ke  maiñ  ta.anoñ  kā  suntā  rahā,  reza  reza  vajūd  apnā  chintā  rahā
bārish-e-sañg  meñ  bhī  na  pīchhe  haTā,  maiñ  ne  us  dil  ko  patthar  kā  ghar  kar  liyā
gum-shuda  rāstoñ  kā  pata  haath  meñ,  biitī  yādoñ  kā  basta  liye  saath  meñ
maiñ  ne  sahrā  ko  apnā  ta.āruf  kiyā  aur  qalam  apnā  dast-e-hunar  kar  liyā
maiñ  ne  ḳhud  ko  mahloñ  meñ  bāñTā  nahīñ,  maiñ  ne  ḳhānoñ  meñ  logoñ  ko  chhāñTā  nahīñ
mujh  ko  dād-e-suḳhan  se  ġharaz  ab  nahīñ  maiñ  ne  harf-e-suḳhan  mo'atabar  kar  liyā
umr  baḌhtī  ga.ī  juuñ  juuñ  māñ-bāp  kii,  āmad-o-raft  mahdūd  hotī  ga.ī
baiThe  baiThe  dar-o-bām  takte  rahe  bolnā-chālnā  muḳhtasar  kar  liyā
dhīre  dhīre  chaTTāneñ  pighaltī  rahīñ  qatra  qatra  samundar  nigaltī  rahīñ
vo  jo  aañsū  na  Dhalkā  kabhī  gaal  par,  us  ko  dil  ke  sadaf  ne  guhar  kar  liyā
baap  kī  DaañT  bhī  mujh  ko  aisī  milī  jaise  maañ  kī  mohabbat  kī  misrī  Dalī
qufl  dil  kī  tijorī  ko  maiñ  ne  kiyā  aur  mahfūz  ye  māl-o-zar  kar  liyā
mausamoñ  ke  ġhazab  se  bachāte  hue,  apnī  bāhoñ  kā  halqa  banāte  hue
dukh  uThā.e  jahāñ  merī  maañ  ne  bahut,  apne  āñgan  kā  paudā  shajar  kar  liyā
maiñ  ne  bachpan  guzārā  hai  apnā  yahāñ  us  ke  saa.e  meñ  pal  kar  huā  maiñ  javāñ
kaise  bhūlūñ  maiñ  'ḳhusrav'  ye  kachchā  makāñ,  us  makāñ  ne  mire  dil  meñ  ghar  kar  liyā