ishq  us  se  kiyā  hai  to  ye  gar  yaad  bhī  rakkho
apne  liye  har  din  na.ī  uftād  bhī  rakkho
ḳhud  apne  liye  aap  sazā  bhī  karo  tajvīz
munsif  bhī  bano  ujratī  jallād  bhī  rakkho
jo  haath  kare  baḳhiya-garī  chāk-e-jigar  kī
us  haath  meñ  ab  ḳhanjar-e-bedād  bhī  rakkho
ham  log  to  har-hāl  meñ  rahte  haiñ  sadā  ḳhush
jo  ḳhush  nahīñ  rahte  unheñ  nāshād  bhī  rakkho
mumkin  ho  to  is  anjuman-ārā.ī  meñ  taaza
ik  zaḳhm-e-dil-e-ḳhānamāñ-barbād  bhī  rakkho
jis  shaḳhs  ne  dī  likh  ke  tumheñ  apnī  asīrī
us  shaḳhs  ko  ik  pal  kabhī  āzād  bhī  rakkho
ye  kār-e-jahāñ  ab  to  sameTā  nahīñ  jaatā
behtar  hai  ki  apnā  koī  ham-zād  bhī  rakkho
shīshe  meñ  utāro  kisī  nāzuk  sī  parī  ko
qabze  meñ  koī  apne  parī-zād  bhī  rakkho
ye  ghar  koī  mehmān-sarā  to  nahīñ  jis  meñ
ik  pal  bhī  na  Thahro  use  ābād  bhī  rakkho
aatā  hai  hameñ  jaañ  se  guzarne  kā  amal  ḳhuub
tum  chāho  to  teġh-e-sitam-ījād  bhī  rakkho
ye  ziist  jū-e-shīr  hai  ai  'ḳhusrav'-e-sānī
lāzim  hai  tumheñ  taisha-e-farhād  bhī  rakkho