ġham  saheñ  yā  ḳhushī  ko  pyaar  kareñ
kaun  sī  chiiz  iḳhtiyār  kareñ
ham  ba-qaid-e-qafas  chaman  se  duur
kaise  andāza-e-bahār  kareñ
fasl-e-gul  aa  ga.ī  hai  ahl-e-junūñ
phir  garebāñ  ko  taar  taar  kareñ
kaalī  kaalī  ghaTā  meñ  chhā.ī  haiñ
aa.iye  zikr-e-zulf-e-yār  kareñ
dil  diyā  hai  to  un  ke  qadmoñ  par
zindagānī  ko  bhī  nisār  kareñ
jis  meñ  shāmil  hoñ  sab  rā.īs-o-ġharīb
aisī  mahfil  ko  bā-vaqār  kareñ
anjuman  tab  kaheñ  jab  'anjum'  ko
aap  apnā  sharīk-e-kār  kareñ