dimāġh  un  ke  tajassus  meñ  jism  ghar  meñ  rahā
maiñ  apne  ghar  hī  meñ  rahte  hue  safar  meñ  rahā
vo  ḳhaak  chhānne  vāloñ  kā  dard  kyā  jaane
tamām  umr  jo  mahfūz  apne  ghar  meñ  rahā
maiñ  ham-kanār  kabhī  ho  sakā  na  manzil  se
hamesha  halqa-e-aḳhlāq-e-rāhbar  meñ  rahā
maiñ  jis  ke  vāste  bhaTkā  kiyā  zamāne  meñ
vo  ashk  ban  ke  sadā  merī  chashm-e-tar  meñ  rahā
miTā  sakā  na  adāvat  zamīn  par  insāñ
kabhī  ḳhalā  meñ  kabhī  'anjum'-o-qamar  meñ  rahā