hamārī  ḳhvāhishoñ  meñ  sargirānī  bhī  kahāñ  thī
aur  us  ko  zindagī  ham  se  nibhānī  bhī  kahāñ  thī
havā  le  aa.ī  thī  is  shahr  meñ  ai  dost  varna
abhī  pesh-e-nazar  naql-e-makānī  bhī  kahāñ  thī
tumhārā  naqsh  in  āñkhoñ  se  dhultā  bhī  to  kaise
ki  dariyā  meñ  vo  pahlī  sī  ravānī  bhī  kahāñ  thī
vo  apne  zo.am  meñ  bichhḌā  magar  maiñ  sochtā  huuñ
hamāre  darmiyāñ  koī  kahānī  bhī  kahāñ  thī
bahut  jaldī  chale  aa.e  haiñ  ham  kār-e-jahāñ  se
vagarna  zindagī  itnī  purānī  bhī  kahāñ  thī