Sheikh Ibrahim Zauq

hain dahan ghunchon ke wa kya jaane kya kahne ko hain

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
haiñ dahan ġhunchoñ ke vā kyā jaane kyā kahne ko haiñ
shāyad us ko dekh kar salle-alā kahne ko haiñ
vasf-e-chashm o vasf-e-lab us yaar kā kahne ko haiñ
aaj ham dars-e-ishārāt-o-shifā kahne ko haiñ
aaj un se mudda.ī kuchh mudda.ā kahne ko haiñ
par nahīñ mālūm kyā kahveñge kyā kahne ko haiñ
jo vo qad-qāmat sadā kahne ko haiñ
aur āshiq vasf-e-qad-qāmat tirā kahne ko haiñ
pūchh aa qātil se to vo kab karegā ham ko qatl
aaj ham tārīḳh-e-marg aap ai qazā kahne ko haiñ
maiñ tire hāthoñ ke qurbāñ vaah kyā maare haiñ tiir
sab dahān-e-zaḳhm muñh se marhabā kahne ko haiñ
vo janāze par mire kis vaqt aa.e dekhnā
jab ki izn-e-ām mere aqribā kahne ko haiñ
Top Urdushayar.com