lete  hī  dil  jo  āshiq-e-dil-soz  kā  chale
tum  aag  lene  aa.e  the  kyā  aa.e  kyā  chale
tum  chashm-e-surmagīñ  ko  jo  apnī  dikhā  chale
baiThe  biThā.e  ḳhaak  meñ  ham  ko  milā  chale
dīvāna  aa  ke  aur  bhī  dil  ko  banā  chale
ik  dam  to  Thahro  aur  bhī  kyā  aa.e  kyā  chale
ham  lutf-e-sair-e-bāg-e-jahāñ  ḳhaak  uḌā  chale
shauq-e-visāl  dil  meñ  liye  yaar  kā  chale
ġhairoñ  ke  saath  chhoḌ  ke  tum  naqsh-e-pā  chale
kyā  ḳhuub  phuul  gor  pe  merī  chaḌhā  chale
dikhlā  ke  mujh  ko  nargis-e-bīmār  kyā  chale
āvāra  misl-e-āhu-e-sahrā  banā  chale
ai  ġham  mujhe  tamām  shab-e-hijr  meñ  na  khā
rahne  de  kuchh  ki  sub.h  kā  bhī  nāshtā  chale
bal-be  ġhurūr-e-husn  zamīñ  par  na  rakkhe  paañv
mānind-e-āftāb  vo  be-naqsh-e-pā  chale
kyā  le  chale  galī  se  tirī  ham  ko  juuñ  nasīm
aa.e  the  sar  pe  ḳhaak  uḌāne  uḌā  chale
afsos  hai  ki  sāya-e-murġh-e-havā  kī  tarah
ham  jis  ke  saath  saath  chaleñ  vo  judā  chale
kyā  dekhtā  hai  haath  mirā  chhoḌ  de  tabīb
yaañ  jaan  hī  badan  meñ  nahīñ  nabz  kyā  chale
qātil  jo  tere  dil  meñ  rukāvaT  na  ho  to  kyuuñ
ruk  ruk  ke  mere  halq  pe  ḳhanjar  tirā  chale
le  jaa.eñ  tere  kushte  ko  jannat  meñ  bhī  agar
phir  phir  ke  tere  ghar  kī  taraf  dekhtā  chale
ālūda  chashm  meñ  na  huī  surme  se  nigāh
dekhā  jahāñ  se  saaf  hī  ahl-e-safā  chale
roz-e-azal  se  zulf-e-mo.ambar  kā  hai  asiir
kyā  uḌ  ke  tujh  se  tā.ir-e-nik.hat  bhalā  chale
saath  apne  le  ke  tausan-e-umr-e-ravāñ  ko  aah
ham  is  sarā-e-dahar  meñ  kyā  aa.e  kyā  chale
suljhā.ī  zulfeñ  kyā  lab-e-dariyā  pe  aap  ne
har  mauj  misl-e-mār-siyah  tum  banā  chale
duniyā  meñ  jab  se  aa.e  rahā  ishq-e-gul-ruḳhāñ
ham  is  jahāñ  meñ  misl-e-sabā  ḳhaak  uḌā  chale
qātil  se  daḳhl  kyā  hai  ki  jāñ-bar  ho  apnā  hosh
gar  uḌ  ke  misl-e-tā.er  rañg-e-hinā  chale
fikr-e-qanā.at  un  ko  mayassar  huī  kahāñ
duniyā  se  dil  meñ  le  ke  jo  hirs-o-havā  chale
is  rū-e-ātishīñ  ke  tasavvur  meñ  yād-e-zulf
yaanī  ġhazab  hai  aag  lage  aur  havā  chale
ai  'zauq'  hai  ġhazab  nigah-e-yār  al-hafīz
vo  kyā  bache  ki  jis  pe  ye  tīr-e-qazā  chale