chashm-e-qātil  hameñ  kyūñkar  na  bhalā  yaad  rahe
maut  insān  ko  lāzim  hai  sadā  yaad  rahe
merā  ḳhuuñ  hai  tire  kūche  meñ  bahā  yaad  rahe
ye  bahā  vo  nahīñ  jis  kā  na  bahā  yaad  rahe
kushta-e-zulf  ke  marqad  pe  tū  ai  lailā-vash
bed-e-majnūñ  hī  lagā  tā-ki  patā  yaad  rahe
ḳhāksārī  hai  ajab  vasf  ki  juuñ  juuñ  ho  sivā
ho  safā  aur  dil-e-ahl-e-safā  yaad  rahe
ho  ye  labbaik-e-haram  yā  ye  azān-e-masjid
mai-kasho  qulqul-e-mīnā  kī  sadā  yaad  rahe
yaad  us  vāda-farāmosh  ne  ġhairoñ  se  badī
yaad  kuchh  kam  to  na  thī  aur  sivā  yaad  rahe
ḳhat  bhī  likhte  haiñ  to  lete  haiñ  ḳhatā.ī  kāġhaz
dekhiye  kab  tak  unheñ  merī  ḳhatā  yaad  rahe
do  varaq  meñ  kaf-e-hasrat  ke  do  aalam  kā  hai  ilm
sabaq-e-ishq  agar  tujh  ko  dilā  yaad  rahe
qatl-e-āshiq  pe  kamar  bāñdhī  hai  ai  dil  us  ne
par  ḳhudā  hai  ki  use  naam  mirā  yaad  rahe
tā.er-e-qibla-numā  ban  ke  kahā  dil  ne  mujhe
ki  taḌap  kar  yuuñ  hī  mar  jā.egā  jā  yaad  rahe
jab  ye  dīñ-dār  haiñ  duniyā  kī  namāzeñ  paḌhte
kaash  us  vaqt  unheñ  nām-e-ḳhudā  yaad  rahe
ham  pe  sau  baar  jafā  ho  to  rakho  ek  na  yaad
bhuul  kar  bhī  kabhī  hove  to  vafā  yaad  rahe
mahv  itnā  bhī  na  ho  ishq-e-butāñ  meñ  ai  'zauq'
chāhiye  bande  ko  har  vaqt  ḳhudā  yaad  rahe