dikhlā  na  ḳhāl-e-nāf  tū  ai  gul-badan  mujhe
har  laala  yaañ  hai  nāfa-e-mushk-e-ḳhutan  mujhe
hamdam  vabāl-e-dosh  na  kar  pairahan  mujhe
kāñTā  sā  hai  khaTaktā  mirā  tan  badan  mujhe
phirtā  liye  chaman  meñ  hai  dīvāna-pan  mujhe
zanjīr-e-pā  hai  mauj-e-nasīm-e-chaman  mujhe
tasbīh-e-daur-e-bazm  meñ  dekho  imaam  ko
baḳhshī  hai  haq  ne  zeb-e-sar-e-anjuman  mujhe
ai  mere  yāsman  tire  dandān-e-ābdār
gulshan  meñ  haiñ  rulāte  gul-e-yāsman  mujhe
mehrāb-e-kāba  jab  se  hai  terā  ḳham-e-kamāñ
said-e-haram  samajhte  haiñ  nāvak-fagan  mujhe
hai  tan  meñ  rīsha-hā-e-na.e  ḳhushk  ustuḳhvāñ
kyuuñ  khīñchtā  hai  kāñToñ  meñ  ai  zof-e-tan  mujhe
ai  lab  misī  ko  pheñk  ki  nīlam  hai  kam-bahā
yāqūt  de  yā  de  koī  lāl-e-yaman  mujhe
huuñ  sham.a  yā  ki  shola  ḳhabar  kuchh  nahīñ  magar
fānūs  ho  rahā  hai  mirā  pairahan  mujhe
ik  sarzamīn-e-lāla  bahār  o  ḳhizāñ  meñ  huuñ
yaksāñ  hai  dāġh-e-tāza  o  dāġh-e-kuhan  mujhe
ḳhusrav  se  tesha  bolā  jo  chāTūñ  na  terā  ḳhuuñ
shīrīñ  na  hove  ḳhūn-e-sar-e-koh-kan  mujhe
ruḳh  par  tumhāre  daam  jo  Daalā  hai  sabze  ne
aatā  nazar  hai  dīda-e-anqā-dahan  mujhe
ye  dil  vo  hai  ki  kar  de  zamīñ  āsmāñ  ko  ḳhaak
ik  dam  ko  barq  de  jo  pinhā  pairahan  mujhe
kūche  meñ  tere  kaun  thā  letā  bhalā  ḳhabar
shab  chāndnī  ne  aa  ke  pahnāyā  kafan  mujhe
dikhlātā  āsmāñ  se  hai  rū-e-zamīñ  kī  sair
ai  rashk-e-māh  terī  jabīñ  kā  shikan  mujhe
rakhtā  hai  chashm-e-lutf  pe  kis  kis  adā  ke  saath
detā  hai  jaam  sāqi-e-paimāñ-shikan  mujhe
hai  jazb-e-dil  durust  to  chāh-e-firāq  se
khīñchegī  terī  zulf  shikan-dar-shikan  mujhe
dikhlātā  ik  adā  meñ  hai  sau  sau  tarah  banāo
is  sāda-pan  ke  saath  tirā  bāñkpan  mujhe
jaise  kueñ  meñ  ho  koī  taarā  chamak  rahā
dil  sūjhtā  hai  yuuñ  tah-e-chāh-e-zaqan  mujhe
aa  kar  use  bhī  do  kabhī  āñkheñ  zarā  dikhā
āñkheñ  dikhā  rahā  hai  ġhazāl-e-ḳhutan  mujhe
aa  ai  mire  chaman  ki  huā  meñ  tirī  havā
sahrā-e-dil  huā  hai  chaman-dar-chaman  mujhe
yā  rab  ye  dil  hai  yā  ki  hai  ā.īna-e-nazar
dikhlā  rahā  hai  sair  o  safar  dar  vatan  mujhe
aayā  huuñ  nuur  le  ke  maiñ  bazm-e-suḳhan  meñ  'zauq'
āñkhoñ  pe  sab  biThā.eñge  ahl-e-suḳhan  mujhe