jo  kuchh  ki  hai  duniyā  meñ  vo  insāñ  ke  liye  hai
ārāsta  ye  ghar  isī  mehmāñ  ke  liye  hai
zulfeñ  tirī  kāfir  unheñ  dil  se  mire  kyā  kaam
dil  kaaba  hai  aur  kaaba  musalmāñ  ke  liye  hai
ho  qaid-e-tafakkur  se  kab  āzād  suḳhan-var
manzūr  qafas  murġh-e-ḳhush-alhāñ  ke  liye  hai
apnoñ  se  na  mil  apne  haiñ  sab  apnoñ  ke  dushman
har  nai  meñ  bharī  aag  nīstāñ  ke  liye  hai
kuchh  baḳht  se  mere  jo  sivā  hai  vo  siyāhī
baaqī  hai  to  merī  shab-e-hijrāñ  ke  liye  hai
dīvāna  huuñ  maiñ  bhī  vo  tamāshā  ki  mirā  zikr
goyā  sabaq  atfāl-e-dabistāñ  ke  liye  hai
hai  bāda-kashoñ  ke  liye  ik  ġhaib  se  tā.īd
zāhid  jo  duā  māñgtā  bārāñ  ke  liye  hai
changul  meñ  hai  muuzī  ke  dil  us  chashm  ke  hāthoñ
gherā  ye  ġhazab  panja-e-mizhgāñ  ke  liye  hai
maiñ  kis  kī  nigāhoñ  kā  huuñ  vahshī  ki  mirī  ḳhaak
ik  kohl-e-basar  chashm-e-ġhazālāñ  ke  liye  hai
dil  bhī  hai  balā  qābil-e-mashq-e-sitam-o-nāz
jo  tiir  hai  us  tūda-e-tūfāñ  ke  liye  hai
nikle  koī  kyā  qaid-e-alā.iq  se  ki  ai  'zauq'
dar  hī  nahīñ  is  ḳhāna-e-zindāñ  ke  liye  hai