bādām  do  jo  bheje  haiñ  baTve  meñ  Daal  kar
īmāñ  ye  hai  ki  bhej  de  āñkheñ  nikāl  kar
dil  siine  meñ  kahāñ  hai  na  tū  dekh-bhāl  kar
ai  aah  kah  de  tiir  kā  naama  nikāl  kar
utregā  ek  jaam  bhī  puurā  na  chaak  se
ḳhāk-e-dil-e-shikasta  na  sarf-e-kulāl  kar
le  kar  butoñ  ne  jaan  jab  īmāñ  pe  Daalā  haath
dil  kyā  kināre  ho  gayā  sab  ko  sambhāl  kar
tasvīr  un  kī  hazrat-e-dil  khīñch  liije  gar
rakh  deñge  ham  bhī  paañv  pe  āñkheñ  nikāl  kar
qātil  hai  kis  maze  se  namak-pāsh-e-zaḳhm-e-dil
bismil  zarā  taḌap  ke  namak  to  halāl  kar
dil  ko  rafīq  ishq  meñ  apnā  samajh  na  'zauq'
Tal  jā.egā  ye  apnī  balā  tujh  pe  Taal  kar