kyā  aa.e  tum  jo  aa.e  ghaḌī  do  ghaḌī  ke  baad
siine  meñ  hogī  saañs  aḌī  do  ghaḌī  ke  baad
kyā  rokā  apne  girye  ko  ham  ne  ki  lag  ga.ī
phir  vo  hī  āñsuoñ  kī  jhaḌī  do  ghaḌī  ke  baad
koī  ghaḌī  agar  vo  mulā.em  hue  to  kyā
kah  baiTheñge  phir  ek  kaḌī  do  ghaḌī  ke  baad
us  lāl-e-lab  ke  ham  ne  liye  bose  is  qadar
sab  uḌ  ga.ī  misī  kī  dhaḌī  do  ghaḌī  ke  baad
allāh  re  zof-e-sīna  se  har  āh-e-be-asar
lab  tak  jo  pahuñchī  bhī  to  chaḌhī  do  ghaḌī  ke  baad
kal  us  se  ham  ne  tark-e-mulāqāt  kī  to  kyā
phir  us  baġhair  kal  na  paḌī  do  ghaḌī  ke  baad
the  do  ghaḌī  se  shaiḳh  jī  sheḳhī  baghārte
saarī  vo  sheḳhī  un  kī  jhaḌī  do  ghaḌī  ke  baad
kahtā  rahā  kuchh  us  se  adū  do  ghaḌī  talak
ġhammāz  ne  phir  aur  jaḌī  do  ghaḌī  ke  baad
parvāna  gird  sham.a  ke  shab  do  ghaḌī  rahā
phir  dekhī  us  kī  ḳhaak  paḌī  do  ghaḌī  ke  baad
tū  do  ghaḌī  kā  vaada  na  kar  dekh  jald  aa
aane  meñ  hogī  der  baḌī  do  ghaḌī  ke  baad
go  do  ghaḌī  tak  us  ne  na  dekhā  idhar  to  kyā
āḳhir  hamīñ  se  aañkh  laḌī  do  ghaḌī  ke  baad
kyā  jaane  do  ghaḌī  vo  rahe  'zauq'  kis  tarah
phir  to  na  Thahre  paañv  ghaḌī  do  ghaḌī  ke  baad