aañkh  us  pur-jafā  se  laḌtī  hai
jaan  kushtī  qazā  se  laḌtī  hai
shola  bhaḌke  na  kyuuñ  ki  mahfil  meñ
sham.a  tujh  bin  havā  se  laḌtī  hai
qismat  us  but  se  jā  laḌī  apnī
dekho  ahmaq  ḳhudā  se  laḌtī  hai
shor-e-qulqul  ye  kyuuñ  hai  duḳhtar-e-raz
kyā  kisī  pārsā  se  laḌtī  hai
nahīñ  mizhgāñ  kī  do  safeñ  goyā
ik  balā  ik  balā  se  laḌtī  hai
nigah-e-nāz  us  kī  āshiq  se
chhūT  kis  kis  adā  se  laḌtī  hai
tere  bīmār  ke  sar-e-bālīñ
maut  kyā  kyā  shifā  se  laḌtī  hai
zāl-e-duniyā  ne  sulh  kī  kis  din
ye  laḌākā  sadā  se  laḌtī  hai
vaah  kyā  kyā  tabī.at  apnī  bhī
ishq  meñ  ibtidā  se  laḌtī  hai
dekh  us  chashm-e-mast  kī  shoḳhī
jab  kisī  pārsā  se  laḌtī  hai
terī  shamshīr-e-ḳhūñ  ke  chhīñToñ  se
chhīñTe  āb-e-baqā  se  laḌtī  hai
sach  hai  al-harb  ḳhud.atun  ai  'zauq'
nigah  us  kī  daġhā  se  laḌtī  hai