guhar  ko  jauharī  sarrāf  zar  ko  dekhte  haiñ
bashar  ke  haiñ  jo  mubassir  bashar  ko  dekhte  haiñ
na  ḳhuub  o  zisht  na  aib-o-hunar  ko  dekhte  haiñ
ye  chiiz  kyā  hai  bashar  ham  bashar  ko  dekhte  haiñ
vo  dekheñ  bazm  meñ  pahle  kidhar  ko  dekhte  haiñ
mohabbat  aaj  tire  ham  asar  ko  dekhte  haiñ
vo  apnī  burrish-e-teġh-e-nazar  ko  dekhte  haiñ
ham  un  ko  dekhte  haiñ  aur  jigar  ko  dekhte  haiñ
jab  apne  girya  o  soz-e-jigar  ko  dekhte  haiñ
sulagtī  aag  meñ  ham  ḳhushk-o-tar  ko  dekhte  haiñ
rafīq  jab  mire  zaḳhm-e-jigar  ko  dekhte  haiñ
to  chārāgar  unheñ  vo  chārāgar  ko  dekhte  haiñ
na  tumtarāq  ko  ne  karr-o-farr  ko  dekhte  haiñ
ham  aadmī  ke  sifāt  o  siyar  ko  dekhte  haiñ
jo  raat  ḳhvāb  meñ  us  fitnagar  ko  dekhte  haiñ
na  pūchh  ham  jo  qayāmat  sahar  ko  dekhte  haiñ
vo  roz  ham  ko  guzartā  hai  jaise  iid  kā  din
kabhī  jo  shakl  tumhārī  sahar  ko  dekhte  haiñ
jahāñ  ke  ā.īnoñ  se  dil  kā  ā.īna  hai  judā
is  ā.īne  meñ  ham  ā.īna-gar  ko  dekhte  haiñ
banā  ke  ā.īna  dekhe  hai  pahle  ā.īna-gar
hunar-var  apne  hī  aib-o-hunar  ko  dekhte  haiñ