barq  merā  āshiyāñ  kab  kā  jalā  kar  le  ga.ī
kuchh  jo  ḳhākistar  bachā  āñdhī  uḌā  kar  le  ga.ī
us  ke  qadmoñ  tak  na  betābī  baḌhā  kar  le  ga.ī
haa.e  do  palTe  diye  aur  phir  haTā  kar  le  ga.ī
nā-tavānī  ham  ko  hāthoñ  haath  uThā  kar  le  ga.ī
chyūñTī  se  chyūñTī  daana  chhuḌā  kar  le  ga.ī
sub.h-e-ruḳh  se  kaun  shām-e-zulf  meñ  jaatā  thā  aah
ai  dil-e-shāmat-zada  shāmat  lagā  kar  le  ga.ī
ḳhuun  se  farhād  ke  rañgīñ  huā  dāmān-e-koh
kyuuñ  na  mauj-e-shīr  ye  dhabbā  chhuḌā  kar  le  ga.ī
tum  ne  to  chhoḌā  hī  thā  ai  hamrahān-e-qāfila
lekin  āvāz-e-jaras  ham  ko  jagā  kar  le  ga.ī
nok-e-mizhgāñ  jab  huī  sīna-fagāroñ  se  do-chār
pāra-hā-e-dil  se  gul-dasta  banā  kar  le  ga.ī
dekhī  kuchh  dil  kī  kashish  lailā  ki  naaqe  ko  tire
sū-e-majnūñ  āḳhirash  rasta  bhulā  kar  le  ga.ī
vaah  ai  soz-e-darūñ  kūche  meñ  us  ke  barq-e-āh
raat  ham  ko  har  qadam  mish.al  dikhā  kar  le  ga.ī
vo  ga.e  ghar  ġhair  ke  aur  yaañ  hameñ  dam  bhar  ke  baad
bad-gumānī  un  ke  ghar  sū  ghar  phirā  kar  le  ga.ī
jo  shahīd-e-nāz  kūche  meñ  tumhāre  thā  paḌā
kyā  kahūñ  taqdīr  use  kyūñkar  uThā  kar  le  ga.ī
dasht-e-vahshat  meñ  bagūlā  thā  ki  dīvāna  tirā
rūh-e-majnūñ  bahr-e-istiqbāl  aa  kar  le  ga.ī
aag  meñ  hai  kaun  gir  paḌtā  magar  parvāne  ko
ātish-e-soz-e-mohabbat  thī  jalā  kar  le  ga.ī
ai  parī  pahlū  se  mere  kyā  kahūñ  terī  nigāh
dil  uḌā  kar  le  ga.ī  yā  par  lagā  kar  le  ga.ī
'zauq'  mar  jaane  kā  to  apne  koī  mauqā  na  thā
kū-e-jānāñ  meñ  ajal  nāhaq  lagā  kar  le  ga.ī