chupke  chupke  ġham  kā  khānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
jī  hī  jī  meñ  tilmilānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
abr  kyā  aañsū  bahānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
barq  kyā  hai  tilmilānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
zikr-e-sham-e-husn  laanā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
un  ko  dar-parda  jalānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
jhūT-mūT  afyūn  khānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
un  ko  kaf  lā  kar  Darānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
sun  ke  aamad  un  kī  az-ḳhud-rafta  ho  jaate  haiñ  ham
peshvā  lene  ko  jaanā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
ham  ne  avval  hī  kahā  thā  tū  karegā  ham  ko  qatl
tevaroñ  kā  taaḌ  jaanā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
lutf  uThānā  hai  agar  manzūr  us  ke  naaz  kā
pahle  us  kā  naaz  uThānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
jo  sikhāyā  apnī  qismat  ne  vagarna  us  ko  ġhair
kyā  sikhā.egā  sikhānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
dekh  kar  qātil  ko  bhar  laa.e  ḳharāsh-e-dil  meñ  ḳhuuñ
sach  to  ye  hai  muskurānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
tiir  o  paikāñ  dil  meñ  jitne  the  diye  ham  ne  nikāl
apne  hāthoñ  ghar  luTānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
kah  do  qāsid  se  ki  jaa.e  kuchh  bahāne  se  vahāñ
gar  nahīñ  aatā  bahānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
ḳhat  meñ  likhvā  kar  unheñ  bhejā  to  matlā  dard  kā
dard-e-dil  apnā  jatānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
jab  kahā  martā  huuñ  vo  bole  mirā  sar  kaaT  kar
jhuuT  ko  sach  kar  dikhānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
vaañ  hile  abrū  yahāñ  pherī  gale  par  ham  ne  teġh
baat  kā  iimā  se  paanā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
teġh  to  ochhī  paḌī  thī  gir  paḌe  ham  aap  se
dil  ko  qātil  ke  baḌhānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
zaḳhm  ko  siite  haiñ  sab  par  sozan-e-almās  se
chaak  siine  ke  silānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
pūchhe  mullā  se  jise  karnā  ho  sajda  sahv  kā
sīkhe  gar  apnā  bhulānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e
kyā  huā  ai  'zauq'  haiñ  juuñ  mardumuk  ham  rū-siyāh
lekin  āñkhoñ  meñ  samānā  koī  ham  se  siikh  jaa.e