Alamtaab Tishna

aaina-KHana bhi andoh-e-tamanna nikla

Alamtaab Tishna

Meerut, Uttar pradesh, India

1935-1991
ā.ina-ḳhāna bhī andoh-e-tamannā niklā
ġhaur se dekhā to apnā hī tamāshā niklā
zindagī mahfil-e-shab kī thī pas-andāz-e-sharāb
piine baiThe to bas ik ghūñT zarā sā niklā
phir chalā mausam-e-vahshat meñ sar-e-maqtal-e-ishq
qur.a-e-fāl mire naam dobāra niklā
dād-e-shā.istagī-e-ġham kī tavaqqo be-sūd
dil bhī kam-baḳht taraf-dār usī kā niklā
hai ajab tarz kā rahrav dil-e-shorīda-qadam
jab bhī niklā safar-e-ishq pe tanhā niklā
vo raqīboñ kā pata pūchhne aa.e mire ghar
koī to un se mulāqāt kā rasta niklā
dar-ba-dar ḳhvār hue phirte haiñ ham hijr-nasīb
jāñ-sipārī kā bhī kyā ḳhuub natīja niklā
dil meñ uThte rahe yādoñ ke bagūle 'tishna'
mujh meñ simTā huā ik dard kā sahrā niklā
Top Urdushayar.com