Alamtaab Tishna

shikast-e-shisha-e-dil ki sada hun

Alamtaab Tishna

Meerut, Uttar pradesh, India

1935-1991
shikast-e-shīsha-e-dil kī sadā huuñ
maiñ ḳhud bhī ḳhud ko sunñā chāhtā huuñ
nahīñ mere liye kyā aur koī
usī kā rāsta kyuuñ dekhtā huuñ
usī sāhil pe Dūbūñgā jahāñ se
samundar kā tamāshā kar rahā huuñ
charāġh-e-shola-e-sar huuñ aur havā meñ
sar-e-dīvār-e-jāñ rakkhā huā huuñ
guzarnā hai jise sahrā se ho kar
maiñ us dariyā ke dukh se āshnā huuñ
visāl-e-yār kī ḳhvāhish meñ aksar
charāġh-e-shām se pahle jalā huuñ
ġhunūda sā.atoñ kī shab se 'tishna'
tavāf-e-āriz-o-lab kar rahā huuñ
Top Urdushayar.com