Malikzada Manzoor Ahmad

tark-e-mohabbat apni KHata ho aisa bhi ho sakta hai

Malikzada Manzoor Ahmad

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1929-2016
tark-e-mohabbat apnī ḳhatā ho aisā bhī ho saktā hai
vo ab bhī pāband-e-vafā ho aisā bhī ho saktā hai
darvāze par aahaT sun kar us kī taraf kyuuñ dhyān gayā
aane vaalī sirf havā ho aisā bhī ho saktā hai
hāl-e-pareshāñ sun kar merā aañkh meñ us kī aañsū haiñ
maiñ ne us se jhuuT kahā ho aisā bhī ho saktā hai
arz-e-talab par us kī chup se zāhir hai inkār magar
shāyad vo kuchh soch rahā ho aisā bhī ho saktā hai
hadd-e-nazar tak sirf dhuāñ thā barq pe kyuuñ ilzām rakheñ
ātish-e-gul se baaġh jalā ho aisā bhī ho saktā hai
ḳhuun bahānā us kā sheva hai to sahī 'manzūr' magar
haath pe us ke rañg-e-hinā ho aisā bhī ho saktā hai
Top Urdushayar.com