Malikzada Manzoor Ahmad

tark-e-mohabbat apni KHata ho aisa bhi ho sakta hai

Malikzada Manzoor Ahmad

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1929-2016

tark-e-mohabbat apnī ḳhatā ho aisā bhī ho saktā hai

vo ab bhī pāband-e-vafā ho aisā bhī ho saktā hai

darvāze par aahaT sun kar us taraf kyuuñ dhyān gayā

aane vaalī sirf havā ho aisā bhī ho saktā hai

hāl-e-pareshāñ sun kar merā aañkh meñ us aañsū haiñ

maiñ ne us se jhuuT kahā ho aisā bhī ho saktā hai

arz-e-talab par us chup se zāhir hai inkār magar

shāyad vo kuchh soch rahā ho aisā bhī ho saktā hai

hadd-e-nazar tak sirf dhuāñ thā barq pe kyuuñ ilzām rakheñ

ātish-e-gul se baaġh jalā ho aisā bhī ho saktā hai

ḳhuun bahānā us sheva hai to sahī 'manzūr' magar

haath pe us ke rañg-e-hinā ho aisā bhī ho saktā hai

Top Urdushayar.com