ḳhayāl  o  shauq  ko  jab  ham  tirī  tasvīr  karte  haiñ
to  dil  ko  ā.īna  aur  aañkh  ko  tanvīr  karte  haiñ
nazar  ke  sāmne  jitnā  ilāqa  hai  vo  dil  kā  hai
to  us  kī  be-dilī  ke  naam  ye  jāgīr  karte  haiñ
havā  mismār  bhī  kar  de  agar  shahr-e-tamannā  ko
phir  us  malbe  se  qasr-e-ārzū  tāmīr  karte  haiñ
havā.eñ  paḌh  ke  apne  naam  ke  ḳhat  jhuum  jaatī  haiñ
mohabbat  se  jo  pattoñ  par  shajar  tahrīr  karte  haiñ
hamāre  lafz  ā.inda  zamānoñ  se  ibārat  haiñ
paḌhā  jā.egā  kal  jo  aaj  vo  tahrīr  karte  haiñ