vufūr-e-shauq  meñ  jab  bhī  kalām  karte  haiñ
to  harf  harf  ko  husn-e-tamām  karte  haiñ
ghane  daraḳhtoñ  ke  saa.e  kī  umr  lambī  ho
ki  in  ke  nīche  musāfir  qayām  karte  haiñ
use  pasand  nahīñ  ḳhvāb  kā  havāla  bhī
to  ham  bhī  aañkh  pe  nīndeñ  harām  karte  haiñ
na  ḳhushbuoñ  ko  pata  hai  na  rañg  jānte  haiñ
parind  phūloñ  se  kaise  kalām  karte  haiñ
ravāñ-davāñ  haiñ  havā  par  svāriyāñ  kaisī
jinheñ  daraḳht  bhī  jhuk  kar  salām  karte  haiñ
chaman  meñ  jab  se  use  sair  karte  dekh  liyā
usī  adā  se  ġhazālāñ  ḳhirām  karte  haiñ
ab  is  ko  yaad  na  hogā  hamārā  chehra  bhī
tamām  shā.erī  ham  jis  ke  naam  karte  haiñ