sar  par  thī  kaḌī  dhuup  bas  itnā  hī  nahīñ  thā
us  shahr  ke  peḌoñ  meñ  to  saayā  hī  nahīñ  thā
paanī  meñ  zarā  der  ko  halchal  to  huī  thī
phir  yuuñ  thā  ki  jaise  koī  Duubā  hī  nahīñ  thā
likkhe  the  safar  paañv  meñ  kis  tarah  Thaharte
aur  ye  bhī  ki  tum  ne  to  pukārā  hī  nahīñ  thā
apnī  hī  nigāhoñ  pe  bharosa  na  rahegā
tum  itnā  badal  jāoge  sochā  hī  nahīñ  thā
kanda  the  mire  zehn  pe  kyuuñ  us  ke  ḳhad-o-ḳhāl
chehra  jo  mirī  aañkh  ne  dekhā  hī  nahīñ  thā