Manzoor Hashmi

yaqin ho to koi rasta nikalta hai

Manzoor Hashmi

Badayun, Uttar pradesh, India

1935-2008

yaqīn ho to koī rāsta nikaltā hai

havā oT bhī le kar charāġh jaltā hai

safar meñ ab ke ye tum the ki ḳhush-gumānī thī

yahī lagā ki koī saath saath chaltā hai

ġhilāf-e-gul meñ kabhī chāndnī ke parde meñ

sunā hai bhes badal kar bhī vo nikaltā hai

likhūñ vo naam to kāġhaz pe phuul khilte haiñ

karūñ ḳhayāl to paikar kisī Dhaltā hai

ravāñ-davāñ hai udhar tamām ḳhalq-e-ḳhudā

vo ḳhush-ḳhirām jidhar sair ko nikaltā hai

ummīd o yaas rut aatī jaatī rahtī hai

magar yaqīn mausam nahīñ badaltā hai

Top Urdushayar.com