badan  ko  zaḳhm  kareñ  ḳhaak  ko  labāda  kareñ
junūñ  kī  bhūlī  huī  rasm  kā  i.aada  kareñ
tamām  agle  zamānoñ  ko  ye  ijāzat  hai
hamāre  ahd-e-guzishta  se  istifāda  kareñ
unheñ  agar  mirī  vahshat  ko  āzmānā  hai
zamīñ  ko  saḳht  kareñ  dasht  ko  kushāda  kareñ
chalo  lahū  bhī  charāġhoñ  kī  nazr  kar  deñge
ye  shart  hai  ki  vo  phir  raushnī  ziyāda  kareñ
sunā  hai  sachchī  ho  nīyat  to  raah  khultī  hai
chalo  safar  na  kareñ  kam  se  kam  irāda  kareñ