nahīñ  thā  koī  sitārā  tire  barābar  bhī
huā  ġhurūb  tire  saath  terā  manzar  bhī
pighalte  dekh  rahe  the  zamīñ  pe  sho.ale  ko
ravāñ  thā  aañkh  se  ashkoñ  kā  ik  samundar  bhī
kahīñ  vo  lafz  meñ  zinda  kahīñ  vo  yādoñ  meñ
vo  bujh  chukā  hai  magar  hai  abhī  munavvar  bhī
ajab  ghulāvaTeñ  shahd-o-namak  kī  nutq  meñ  thī
vahī  suḳhan  ki  thā  marham  bhī  aur  nashtar  bhī
munāfiqoñ  kī  baḌī  fauj  us  se  Dartī  thī
aur  us  ke  paas  na  thā  koī  lāv-lashkar  bhī