luTā  diye  the  kabhī  jo  ḳhazāne  DhūñDhte  haiñ
na.e  zamāne  meñ  kuchh  din  purāne  DhūñDhte  haiñ
kabhī  kabhī  to  ye  lagtā  hai  maiñ  vo  lamha  huuñ
ki  ik  zamāne  se  jis  ko  zamāne  DhūñDhte  haiñ
kuchh  ehtiyāt  bhī  ab  ke  talab  meñ  rakhnā  paḌī
sau  us  ko  aur  kisī  ke  bahāne  DhūñDhte  haiñ
lapak  ke  aate  haiñ  siine  kī  samt  tiir  aise
parind  shāḳh  pe  jaise  Thikāne  DhūñDhte  haiñ
hamārī  sāda-mizājī  bhī  kyā  qayāmat  hai
ki  ab  qafas  hī  meñ  ham  āshiyāne  DhūñDhte  haiñ