ek  ġham  hai  use  apnā  jāneñ
ham  kisī  aur  ko  kyā  pahchāneñ
mujh  ko  barbād  kar  ābād  bhī  kar
jhuuT  is  tarah  se  kah  sach  jāneñ
ḳhvāb  dekheñ  na.e  sar  se  tere
phir  tire  dhyān  kī  chādar  tāneñ
dil  ke  bāzār  kā  naqsha  thā  ajiib
chāñd  niklā  to  khulīñ  dukāneñ
chheḌte  haiñ  use  ḳhud  hī  'mus.haf'
us  kī  bātoñ  kā  burā  bhī  māneñ