ashkoñ  se  ba-rañg-e-āb  ham  ne
dariyā  ko  likhā  sarāb  ham  ne
ham  ḳhud  se  savāl  kar  rahe  the
lo  DhūñD  liyā  javāb  ham  ne
dekhā  nahīñ  us  ko  kitne  din  se
uñglī  pe  kiyā  hisāb  ham  ne
ab  apnī  nigāh  darmiyāñ  hai
dekhā  tujhe  be-naqāb  ham  ne
kyā  kyā  na  hamāre  jī  meñ  aa.ī
kuchh  tum  ko  diyā  javāb  ham  ne
jugnū  bhī  na  de  sake  na  de  vo
māñgā  nahīñ  āftāb  ham  ne
ik  ġham  hai  use  bhī  bhuul  jaa.eñ
pī  rakkhī  hai  kyā  sharāb  ham  ne
aise  ki  suno  to  hañs  paḌo  tum
dekhe  haiñ  ajiib  ḳhvāb  ham  ne