Majrooh Sultanpuri

go raat meri subh ki mahram to nahin hai

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
go raat mirī sub.h kī mahram to nahīñ hai
sūraj se tirā rañg-e-hinā kam to nahīñ hai
kuchh zaḳhm hī khā.eñ chalo kuchh gul hī khilā.eñ
har-chand bahārāñ kā ye mausam to nahīñ hai
chāhe vo kisī kā ho lahū dāman-e-gul par
sayyād ye kal raat kī shabnam to nahīñ hai
itnī bhī hameñ bandish-e-ġham kab thī gavārā
parde meñ tirī kākul-e-pur-ḳham to nahīñ hai
ab kārgah-e-dahr meñ lagtā hai bahut dil
ai dost kahīñ ye bhī tirā ġham to nahīñ hai
sahrā meñ bagūlā bhī hai 'majrūh' sabā bhī
ham sā koī āvāra-e-ālam to nahīñ hai
Top Urdushayar.com