Majrooh Sultanpuri

mujhse kaha jibril-e-junun ne ye bhi wahi-e-ilahi hai

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
mujh se kahā jibrīl-e-junūñ ne ye bhī vahi-e-ilāhī hai
maz.hab to bas mazhab-e-dil hai baaqī sab gumrāhī hai
vo jo hue firdaus-badar taqsīr thī vo aadam kī magar
merā azāb-e-dar-badrī merī nā-karda-gunāhī hai
sañg to koī baḌh ke uThāo shāḳh-e-samar kuchh duur nahīñ
jis ko bulandī samjhe ho un hāthoñ kī kotāhī hai
phir koī manzar phir vahī gardish kyā kiije ai kū-e-nigār
mere liye zanjīr-e-gulū merī āvārā-nigāhī hai
bahr-e-ḳhudā ḳhāmosh raho bas dekhte jaao ahl-e-nazar
kyā laġhzīdā-qadam haiñ us ke kyā duzdīda-nigāhī hai
diid ke qābil hai to sahī 'majrūh' tirī mastānā-ravī
gard-e-havā hai raḳht-e-safar raste kā shajar ham-rāhī hai
Top Urdushayar.com