Majrooh Sultanpuri

mujhse kaha jibril-e-junun ne ye bhi wahi-e-ilahi hai

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000

mujh se kahā jibrīl-e-junūñ ne ye bhī vahi-e-ilāhī hai

maz.hab to bas mazhab-e-dil hai baaqī sab gumrāhī hai

vo jo hue firdaus-badar taqsīr thī vo aadam magar

merā azāb-e-dar-badrī merī nā-karda-gunāhī hai

sañg to koī baḌh ke uThāo shāḳh-e-samar kuchh duur nahīñ

jis ko bulandī samjhe ho un hāthoñ kotāhī hai

phir koī manzar phir vahī gardish kyā kiije ai kū-e-nigār

mere liye zanjīr-e-gulū merī āvārā-nigāhī hai

bahr-e-ḳhudā ḳhāmosh raho bas dekhte jaao ahl-e-nazar

kyā laġhzīdā-qadam haiñ us ke kyā duzdīda-nigāhī hai

diid ke qābil hai to sahī 'majrūh' tirī mastānā-ravī

gard-e-havā hai raḳht-e-safar raste shajar ham-rāhī hai

Top Urdushayar.com