Majrooh Sultanpuri

is bagh mein wo sang ke qabil kaha na jae

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
is baaġh meñ vo sañg ke qābil kahā na jaa.e
jab tak kisī samar ko mirā dil kahā na jaa.e
shāḳhoñ pe nok-e-teġh se kyā kyā khile haiñ phuul
andāz-e-lāla-kārī-e-qātil kahā na jaa.e
kis ke lahū ke rañg haiñ ye ḳhaar shoḳh-rañg
kyā gul katar ga.ī rah-e-manzil kahā na jaa.e
bārāñ ke muntazir haiñ samundar pe tishna-lab
ahvāl-e-mezbānī-e-sāhil kahā na jaa.e
mere hī sañg-o-ḳhisht se ta.amīr-e-bām-o-dar
mere hī ghar ko shahr meñ shāmil kahā na jaa.e
zindāñ khulā hai jab se hue haiñ rihā asiir
har gaam hai vo shor-e-salāsil kahā na jaa.e
ham ahl-e-ishq meñ nahīñ harf-e-gunah se kam
vo harf-e-shauq jo sar-e-mahfil kahā na jaa.e
jis haath meñ hai teġh-e-jafā us kā naam lo
'majrūh' se to saa.e ko qātil kahā na jaa.e
Top Urdushayar.com