Majrooh Sultanpuri

ba-nam-e-kucha-e-dildar gul barse ki sang aae

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
ba-nām-e-kūcha-e-dildār gul barse ki sañg aa.e
hañsā hai chāk-e-pairāhan na kyuuñ chehre pe rañg aa.e
bachāte phirte āḳhir kab talak dast-e-azīzāñ se
unhīñ ko sauñp kar ham to kulāh-e-nām-o-nañg aa.e
hañso mat ahl-e-dil apnī sī jaano bazm-e-ḳhūbāñ meñ
chale aa.e idhar ham bhī bahut jab dil se tañg aa.e
kahāñ sehn-e-chaman meñ baat kū-e-sar-faroshāñ kī
idhar se sāda-rū nikle udhar se lāla-rañg aa.e
karo 'majrūh' tab dār-o-rasan ke tazkire ham se
jab us qāmat ke saa.e meñ tumheñ jiine kā Dhañg aa.e
Top Urdushayar.com