Sahar Mahmood

tumhaare gham ko gham-e-jaan bana liya maine

Sahar Mahmood

Kapilvastu, Nepal

1989

tumhāre ġham ko ġham-e-jāñ banā liyā maiñ ne

ki jañgaloñ ko guloñ se sajā diyā maiñ ne

na jaane kitnī umīdeñ lahū lahū kar ke

dil-e-tabāh ko jiinā sikhā diyā maiñ ne

sabab ho kuchh bhī unheñ rūThne aadat hai

ye sochnā ġhalat hai ki kyā kiyā maiñ ne

har ek baat mire haq meñ thī magar phir bhī

jo faisla thā bahut soch kar kiyā maiñ ne

use na bhuul sakā huuñ na bhuul pā.ūñgā

ye tajraba to ka.ī baar kar liyā maiñ ne

tire baġhair mirī pyaas bujh nahīñ paa.ī

hamesha yaad kiyā tujh ko sāqiyā maiñ ne

mirī bhī ḳhāmushī dekhī nahīñ ga.ī un se

kisī zabt-e-suḳhan aazmā liyā maiñ ne

ilaaj soz-e-darūñ na ho sakā phir bhī

'sahar' ba-nām-e-davā zahr bhī piyā maiñ ne

Top Urdushayar.com