dard  kī  sūrat  meñ  vo  umda  sā  tohfa  de  gayā
bevafā  duniyā  meñ  jiine  kā  sahārā  de  gayā
jism  hai  āzād  lekin  dil  asīr-e-ishq  hai
kuchh  haqīqat  de  gayā  vo  kuchh  fasāna  de  gayā
saarī  duniyā  ek  din  yuuñ  hī  fanā  ho  jā.egī
jalte  jalte  ek  parvāna  ishāra  de  gayā
apne  mustaqbil  ko  raushan  karne  nikle  the  magar
shahr  kā  sūraj  to  āñkhoñ  ko  añdherā  de  gayā
ho  ga.e  kāfūr  saare  ġham  ba-yak-laḳht-o-nazar
jab  kabhī  vo  daad  ummīd-e-tamannā  de  gayā
kis  qadar  vīrān  hai  us  ke  binā  saarā  chaman
sochtā  rahtā  huuñ  vo  kyā  le  gayā  kyā  de  gayā
raqs-farmā  zehn  meñ  hai  ab  bhī  vo  sūrat  'sahar'
jaate  jaate  apnī  yādoñ  kā  ḳhazāna  de  gayā