Sahar Mahmood

har ghaDi mujhko be-qarar na kar

Sahar Mahmood

Kapilvastu, Nepal

1989
har ghaḌī mujh ko be-qarār na kar
zindagī merī sogvār na kar
jis ke sāhil kā kuchh patā hī nahīñ
aisī kashtī ko iḳhtiyār na kar
be-ḳhudī merī be-ḳhudī na rahe
itnā ehsān ġham-gusār na kar
is qadar mujh pe iltifāt-o-karam
mere mohsin tū sharmsār na kar
paak kar le havas se dil pahle
kaun kahtā hai tujh ko pyaar na kar
apne va.ade kā rakh bharam ai dost
kisht-e-ummīd reg-zār na kar
ḳhair-ḳhvāhī ke naam par hargiz
mere aiboñ kā ishtihār na kar
aadmī hai to aadmī hī rah
ādamiyat ko dāġhdār na kar
jo 'sahar' dil se bhuul baiThā ho
tazkira us kā baar baar na kar
Top Urdushayar.com