hai  ye  sūrat  ġham  ke  bas  iz.hār  kī
Dhaal  diije  shakl  meñ  ash.ār  kī
ḳhairiyat  matlūb  hai  dildār  kī
dāstāñ  mat  chheḌiye  sansār  kī
hai  ajab  sūrat  yahāñ  takrār  kī
dil  kī  māneñ  baat  yā  dildār  kī
ḳhāsiyat  ye  dil  ke  hai  darbār  kī
qadr  hotī  hai  yahāñ  bas  pyaar  kī
hai  ḳhushī  itne  meñ  hī  bīmār  kī
koī  sūrat  to  huī  dīdār  kī
zimmedārī  tum  pe  hai  ghar-bār  kī
harkateñ  chhoḌo  miyāñ  bekār  kī
dil  meñ  rahte  haiñ  magar  anjān  se
jaane  kyā  marzī  hai  apne  yaar  kī
mas.ala  pand-o-nasīhat  kā  durust
chhāp  paḌtī  hai  magar  kirdār  kī
har  ta.alluq  kā  hai  kuchh  maqsad  'sahar'
kaun  suntā  hai  kisī  lāchār  kī