Maqbool Aamir

meri tarif kare ya mujhe bad-nam kare

Maqbool Aamir

1955-1990
merī tārīf kare yā mujhe bad-nām kare
jis ne jo baat bhī karnī hai sar-e-ām kare
zaḳhm par vaqt kā marham to lagā detī hai
aur kyā is ke sivā gardish-e-ayyām kare
mohtasib se maiñ akelā hī nimaT saktā huuñ
jis ne jo jurm kiyā hai vo mire naam kare
vo mirī soch se ḳhā.if hai to us se kahnā
mujh meñ uḌte hue taa.ir ko tah-e-dām kare
kaun aa.egā pa.e-pursish-e-ahvāl yahāñ
kis kī ḳhātir koī taz.īn-e-dar-o-bām kare
mujh ko bhī ho mirī auqāt kā kuchh andāza
koī to sūrat-e-yūsuf mujhe nīlām kare
Top Urdushayar.com