Parveen Fana Syed

tumhaara zauq-e-parastish mujhe aziz magar

Parveen Fana Syed

Lahore, Punjab, Pakistan

1936-2010

tumhārā zauq-e-parastish mujhe aziiz magar

maiñ is zamīn miTTī mujhe ḳhudā na kaho

tumhāre saath agar do-qadam bhī chal na sakūñ

to ḳhasta-pā huuñ mujhe mujrim-e-vafā na kaho

ye ek pal dhaḌaktī hayāt bhī hai bahut

tamām-umr ke is rog ko burā na kaho

is ek ḳhauf se lab liye tumhāre huzūr

ki harf-e-shauq ko iz.hār-e-mudda.ā na kaho

ye be-ruḳhī gilā mujh se pahle ḳhud se karo

use nigāh yak-tarfa faisla na kaho

guzarte vaqt ke marham se bhar na jaa.e kahīñ

is ek zaḳhm ko chāhat intihā na kaho

maiñ ek zinda haqīqat huuñ ek pal sahī

tumhārā aks huuñ tum to mujhe fanā na kaho

Top Urdushayar.com