fikr-e-uqbā  hai  mujhe  ḳhvāhish-e-duniyā  hai  mujhe
aish  kī  dhun  hai  mujhe  maut  kā  dhaḌkā  hai  mujhe
maut  kahte  haiñ  jise  zabt  kī  takmīl  na  ho
ki  tanaffus  pe  bhī  fariyād  kā  dhokā  hai  mujhe
husn  vo  chāhiye  jo  ishq  kā  ā.īna  bane
ya.anī  apne  liye  apnī  hī  tamannā  hai  mujhe
tum  na  ghabrāo  mujhe  tum  se  koī  kaam  nahīñ
apnī  ḳhvāhish  hai  mujhe  apnī  tamannā  hai  mujhe
ye  to  ma.alūm  nahīñ  un  kā  irāda  kyā  hai
haañ  nigāh-e-ġhalat-andāz  se  dekhā  hai  mujhe
hijr  kī  shab  udhar  allāh  idhar  vo  but  hai
dekhnā  ye  hai  ki  ab  kaun  bulātā  hai  mujhe
ek  but  ek  hī  but  kā  huuñ  pujārī  'aḳhtar'
apne  is  shirk  pe  tauhīd  kā  da.avā  hai  mujhe