phirtā  rahtā  huuñ  maiñ  har  lahza  pas-e-jām-e-sharāb
mujh  ko  bad-nām  karegī  havas-e-jām-e-sharāb
qāfila  aish  kā  tayyār  hai  rindoñ  ke  liye
qulqul-e-shīsha-e-mai  hai  jaras-e-jām-e-sharāb
jumbish-e-bād-e-sahar  se  hai  tamavvuj  mai  meñ
quvvat-e-jān-e-hazīñ  hai  nafas-e-jām-e-sharāb
ḳham  luñDhā  duuñ  to  na  chakrā.e  kabhī  sar  merā
ek  jur.a  meñ  gayā  bul-havas-e-jām-e-sharāb
mujh  se  pūchho  asar-e-bāda-e-gul-gūñ  vaa.iz
maiñ  huuñ  rindoñ  meñ  bahut  nukta-ras-e-jām-e-sharāb
TikTikī  bāñdh  ke  dekhā  kiyā  itnā  ki  banā
sāya-e-mardum-e-dīda  magas-e-jām-e-sharāb
mai  na  ho  bū  hī  sahī  kuchh  to  ho  rindoñ  ke  liye
isī  hiile  se  bujhegī  havas-e-jām-e-sharāb
zulf-e-mushkīñ  ke  liye  bū  jo  chalī  aatī  hai
hai  nasīm-e-saharī  ham-nafas-e-jām-e-sharāb
ham  ne  rindoñ  kā  maqūla  ye  sunā  hai  'shaidā'
sohbat-e-aish  meñ  zāhid  hai  ḳhas-e-jām-e-sharāb