charchā  hamārā  ishq  ne  kyuuñ  jā-ba-jā  kiyā
dil  us  ko  de  diyā  to  bhalā  kyā  burā  kyā
ab  kholiye  kitāb-e-nasīhat  ko  shaiḳh  phir
shab  mai-kade  meñ  aap  ne  jo  kuchh  kiyā  kiyā
vo  ḳhvāb-e-nāz  meñ  the  mirā  dīda-e-niyāz
dekhā  kiyā  aur  un  kī  balā.eñ  liyā  kiyā
roz-e-azal  se  tā-ba-abad  apnī  jaib  kā
thā  ek  chaak  jis  ko  maiñ  baiThā  siyā  kiyā
dekhe  jo  daaġh  dāman-e-isyāñ  pe  be-shumār
maiñ  ne  bhī  josh-e-girya  se  tūfāñ  bapā  kiyā
gum-karda  raah  aa.e  haiñ  vo  aaj  mere  ghar
ai  merī  āh-e-nīm-shabī  tū  ne  kyā  kiyā
kyā  pūchhte  ho  dast-e-qanā.at  kī  kotahī
kuchh  vā  shab-e-visāl  meñ  band  qabā  kiyā
lazzat  hī  thī  kuchh  aisī  ki  chhoḌā  na  sabr  ko
karte  rahe  vo  jaur-o-sitam  maiñ  sahā  kiyā
kyā  shai  thī  vo  jo  aañkh  se  dil  meñ  utar  ga.ī
dil  se  uThī  to  ashk  kā  tūfāñ  bapā  kiyā
phir  le  chalā  hai  kal  mujhe  kyuuñ  bazm-e-yār  meñ
ījād  us  ne  kyā  koī  tarz-e-jafā  kiyā
'shaidā'  ġhazal  paḌho  koī  majlis  meñ  dūsrī
ik  paḌh  ke  rah  ga.e  to  bhalā  tum  ne  kyā  kiyā