marīz-e-ishq  kī  juz-marg  duniyā  meñ  davā  kyuuñ  ho
agar  jaañ  ho  aziiz  apnī  to  jānāñ  par  fidā  kyuuñ  ho
uThe  jo  aag  siine  se  dabā  duuñ  us  ko  ashkoñ  se
shab-e-hijrāñ  meñ  naala  se  mirā  lab  āshnā  kyuuñ  ho
milo  ḳhalvat  meñ  aur  do  tum  mujhe  dars-e-shakebā.ī
karam  tum  meñ  na  ho  to  dil  mirā  sabr-āzmā  kyuuñ  ho
chale  jab  tak  zabāñ  jaarī  ho  us  par  dāstān-e-ġham
tavānā.ī  tire  bīmār  kī  sarf-e-duā  kyuuñ  ho
bhalā  tū  aur  ghar  aa.e  mire  kyūñ-kar  yaqīñ  kar  luuñ
taḳhayyul  kyuuñ  na  ho  merā  tirī  āvāz-e-pā  kyuuñ  ho
agar  baḳht-e-rasā  ne  rahbarī  kī  terī  ḳhalvat  tak
to  phir  dast-e-tamannā  rehn-e-dāmān-e-qabā  kyuuñ  ho
mire  ḳhuuñ  aur  hinā  meñ  der  se  bāham  raqābat  hai
na  ho  gar  rañg-e-ḳhūñ  pā  meñ  to  phir  rañg-e-hinā  kyuuñ  ho
qayāmat  ek  din  aa.ī  hai  is  meñ  shak  nahīñ  'shaidā'
khaḌā  ho  bazm  se  jab  vo  qayāmat  phir  bapā  kyuuñ  ho